शुक्रवार, 4 मार्च 2016

Farhat shahzad 

kh.udaa jaane ke us gul ne, kise, kis haal mein dekhaa
bharee gulrut mein jo khilne pe aamaadaa naheen lagataa

ख़ुदा जाने के उस गुल ने, किसे, किस हाल में देखा
भरी गुलरुत में जो खिलने पे आमादा नहीं लगता

jalaakar apanaa ghar jo kh.ud tamaashaa dekhane baithe
wo paagal to mujhe lagata hai deewaanaa naheen lagataa

जलाकर अपना घर जो ख़ुद तमाशा देखने बैठे
वो पागल तो मुझे लगता है, दीवाना नहीं लगता
__________________________________
kya khoob silaa mujhko mohabbat kaa milaa thaa
jo saath na chal paayaa, sadaa saath rahaa thaa... 
क्या ख़ूब सिला मुझको मोहब्बत का मिला था
जो साथ न चल पाया, सदा साथ रहा था...
__________________________________
Mehshar hee nahiN, wali-e-mehshar bhi naya tha  +  Kuchh shehr-e-khamoshaaN meN mera ghar bhi naya tha!

Takleef to donoN ko baher haal thee honi  +  qatil tha naya, aur mera sar bhi naya tyha!

PeroN meN raha ar merey sar ak nahiN aaya  +  Rasta hi nahiN, raah ka patthar bhi naya tha!
__________________________________
ऐ ग़म की सर्द हवा, हौंसला न हार अभी
ज़रा सा सब्र की "शहज़ाद" बुझने वाला हय
Aey ghum ki sard hawa, hausla Na har abhi 
Zara sa sabr, ke "Shahzad" bujhney wala hey!
__________________________________
Ujale is kardar be noor kyun Hai 
Kitabe zingadi se door kyun Ha
उजाले इस क़दर बे-नूर क्यों है 
किताबें ज़िन्दगी से दूर क्यों है 

Khabhi yun ho k panther chot khaye 
Yeh hardam aanine hi chur kyun Hai
कभी यूँ हो के पत्थर चोट खाये 
ये हरदम आईनें ही चूर क्यों है 
____________________________________________
uskaa to doshh kuchh bhii nahiin, wo to waqt hai
ham se hii uskaa saath nibhaaya na jaa sakaa...
उसका तो दोष कुछ भी नहीं , वो तो वक़्त है,
हम से ही उसका साथ निभाया न जा सका...
_________________________________________
mere siwa na koie usko, aise dekh sakaa,
ki usmein Doob ke jeevan ko paar maine kiyaa
मेरे सिवा न कोई उसको, ऐसे देख सका,
कि उसमें डूब के जीवन को पार मैंने किया
_________________________________________
phir hanste-hanste ho gaye chup, jaan-e-bazm-e-naaz
phir ho gaye udaas, koie yaad aa  gayaa!
फिर हँसते-हँसते हो गये चुप,  जाने-बज़्मे-नाज़
फिर हो गये उदास, कोई याद आ गया! 
__________________________________
use kh.abar bhii na ho payii, kh.ud ga'nwaa ke use
tamaam umr usii kaa rahaa main tan-man se
उसे ख़बर भी न हो पायी, ख़ुद गँवाके उसे
तमाम उम्र उसी का रहा मैं तन-मन से
__________________________________________
maantaa hoo'n ki wo harjaa'ee hai, patthar bhii
kya karoo'n, dil ko mere, shakl wahii bhaayii hai
मानता हूँ कि वो हरजाई भी है, पत्थर भी
क्या करूँ, दिल को मेरे, शक्ल वही भायी है
__________________________________________
ki jaise rang, kh.ushboo mein nahaaye
ye gul pairahanii, dekhii naa jaaye

कि जैसे रंग, ख़ुशबू में नहाये
ये गुल पैरहनी, देखी न जाये

merii har ek dhaRkan sochatii hai
ye dil us'se, u'se kaise churaaye

मेरी हर एक धड़कन सोचती है
ये दिल उससे, उसे कैसे चुराये
__________________________________________
'tum haar' merii jeet to ban saktii thii, lekin
tum jeet gaye ho, ye merii haar nahiin hai

'तुम हार' मेरी जीत तो बन सकती थी, लेकिन
तुम जीत गये हो, ये मेरी हार नहीं है...
_________________________________________
tum to mujhe mar jaane kii chaukhat pe milii ho
tumne meraa jeene ka zamaana nahiin dekhaa

तुम तो मुझे मर जाने की चौखट पे मिली हो
तुमने मेरा जीने का ज़माना नहीं देखा...
_________________________________________
ye din bhii dekhne likhe the apnii qismat mein
ki tere dil mein rahein, terii deed ko tarsein

ये दिन भी देखने लिखे थे अपनी क़िस्मत में
कि तेरे दिल में रहें, तेरी दीद को तरसें...
_________________________________________
jaan merii, ik baar nahiin, sau baar karke dekh lo
kuchh nahiin ho paayega, tum pyaar karke dekh lo

जान मेरी, इक बार, नहीं सौ बार करके देख लो
कुछ नहीं हो पायेगा, तुम प्यार करके देख लो

ishq ka haasil alam hai, ishq ka anjaam dukh
kal kii chhoRo, aaj daryaa paar karke dekh lo

इश्क़ का हासिल अलम है, इश्क़ का अंजाम दुख
कल की छोड़ो, आज दरया पार करके देख लो
____________________________________________
gawaan kar tujhko bhii ham jee to lenge hii magar jaanaan
tere bin zindgii mumkin hai, ham is sach se Darate hain

गवाँकर तुझको भी हम जी तो लेंगे ही मगर जानाँ
तेरे बिन ज़िंदगी मुमकिन है, हम इस सच से डरते हैं
_______________________________________
Mujhey samjhao, ye deewangi hey
MeiN kyoN khud se bhala itna khafa hooN!!!
____________________________________________
Hamarey beech batee is tarha sharab-e-hayat
Tamam talkhiyaaN meri, khumar us ka tha!!
________________________________________
MEREY KIRDAR PE FATWEY JO JARA KERTEY HEIn  +  KASH, BEENAEE SE HO UN KEE SHANASAEE BHEE!!
______________________________________
JHUK GAEE AAnKH SAB JAWABOn KI  +  SAMNEY JAB TERA SAWAL AAYA

DIL SA SHATIR BHI DIL BACHA NA SAKA  +  DUKH QAYAMAT KI CHAL KE CHAAL AAYA!
__________________________________
Ye waqt dil pe Kara hey, sharab pee jaey
DukhoN ne hukm Diya hey, sharab pee jaey!

Her Aik jaam ki teh meN chhupi hui hey khushi
Ye hum se ghum ne kaha hey sharab pee jaey!
__________________________________
Mein ne patthar likha jisey umroN
Ab khula, aaina tha, toot gaya!!

Phone per us ne aik siski lee
Rabita jism-o-jaN ka toot gaya!
__________________________________
Mana ke aik apney safar ki dagar nahiN
Per ye ghalat hey aap merey hamsafr nahiN

Itni tumharey hijr ki isko bhee laj hey
AaNkhoN se meri ashk gira khak per nahiN
__________________________________
Ye mohtasab, ye adalat to ik bahana hey.
Jo tey shuda hey, wohi fesla sunana hey!!!
__________________________________
AATEE JATEE SANs, SATA MAT DEKH HAMEIn  +  ABHEE ABHEE HUM AAS GAnWA KER BETHEY HEIn!
___________________________________________
Ye nafratoN ki jo deewar darmiyaaN hey kharee 
Na tor Pao, to ab aur mat baluNd karo

MohabatoN ke payamber heiN hum, qalam waley
Hawaey taza ki Ye khirkiyaaN Na baNd karo!!!!
__________________________________________
JHUK GAEE AAnKH SAB JAWABOn KI  +  SAMNEY JAB TERA SAWAL AAYA

DIL SA SHATIR BHI DIL BACHA NA SAKA  +  DUKH QAYAMAT KI CHAL KE CHAAL AAYA!
__________________________________________
MEREY KIRDAR PE FATWEY JO JARA KERTEY HEIn  +  KASH, BEENAEE SE HO UN KEE SHANASAEE BHEE!!
___________________________________________
HUM SHIKAYAT BHI US SE KER NA SAKEY  +  IS SALEEQEY SE US NE TORA DIL! ________________________________________
TAMANNA KAAM KER JA-EY GEE IK DIN  +  DUKHOn KI RUT, GUZAR JA-EY GEE IK DIN

KAHAAn TAK SATH DEY TANHA-EE, AAKHIR  +  YE PAGAL BHEE TO GHAR JA-EY GEE IK DIN!
___________________________________________
WO SIRF PYAR NAHIn, MEREY DIL KI DHARKAN THEE  +  MEIn US KO KHO KE BHEE ZINDA HOOn, SAKHT HERAT HEY!!
_________________________________________
KYA KHABAR THEE KE MEIn IS DARJA BADAL JA-OOn GA  +  TUJH KO KHO DOOnGA, TEREY GHUM SE SAnBHAL JA-OOn GA!

ZID MEn AA-EY HUEY, MASOOm SE BACHCHEY KEE TARHA  +  KHUD HEE KASHTI KO DIBONEY PE MACHAL JA-OOn GA!
__________________________________________
JANEY KYA DIL SE KEH GAEEn, AAnKHEIn  +  MERI AAnKHOn SE BEH GAEEn AAnKHEIN

IK JHALAK KE LIY-E GAEEn THEEn, MAGAR  +  PAAS US KE HEE REHY GAEEn AAnKHEIn!
______________________________________________
USKO, AA-MAAL KA SAB KE HEE AJAR DENA HEY  +  WO FAQAT MERA NAHIn, SAB KA KHUDA HEY AAKHIR!

AA-MAAL: Deeds
AJAR: Reward
____________________________________________
'KHOON ASHKOn' SE NA DAMAN YOOn MERA TUR HOTA  +  KASH SEENEY MEn MEREY DIL NAHIn, PATTHAR HOTA

DEKHTA PHIR MEIn, ISEY KOEE JHUKATA KESEY  +  AAJ SHANOn PE AGAR MEREY, MERA SAR HOTA!
______________________________________________
AAnKH SE AAnKH MILA, DIL KA SAHARA BUN JA  +  JESEY HUM TEREY HEIn, TU AAJ HAMARA BUN JA

HARNEY AA-EY HEIn HUM TEREY MUQABIL JANAn  +  JEET KER HUM SE, HAMEIn JAN SE PYARA BUN JA!!
______________________________________________
YE JHOOT HOGA JO KEHDOOn KE TUJH SE PIYAR HEY KUM  +  MAGAR YE SUCH HEY KE AB TERA INTAZAR HEY KUM!
__________________________________
JEEVAN KE DEHEKTEY SEHRA MEn, IK UMR BHATAKNEY KA HASIL  +  YADOn KI CHUND BRATEn HEIN, KUCHH SOCH KE TANEY BANEY HEIn!
_________________________________________
JO MERA HEY AAJ, AUR NA KAL KABHI HO PA-EY GA  +  PHIR BHEE, 'SUCH-KHATIR' MOHUBBAT KA NAGAR KEHNA USEY

SIRF USKA RASTA TAKTEY HO-EY JO KUT GA-EE  +  ZINDAGEE KEHNA, UMEEDOn KA SAFAR KEHNA USEY!

JO, NA-JHUKNEY KE SABAB, LIPTA HEY KHAK-O-KHOON MEn  +  KOEE USKO KUCHH KAHEY, TUM MERA SAR KEHNA USEY!
_________________________________________
GHABRA NA MERI JAN KE KAT JA-EY GEE YE BHEE  +  BE-SUBH TO DUNYA MEn KOI RAT NAHIn HEY!!
_________________________________________
PEHNAYA MEREY DIL KO GHAM-E-HIJR USEE NEY  +  JIS SAAnS KE HAMRAH MEIn PAL BHAR KO GAYA HOOn!!
__________________________________________
JISEY TA-UMR LIK-KHA 'ZINDAGANI'  +  WO, DEKHO, CHHOR KER JANEY LAGI HEY!
__________________________________________
GAR YE TERI MARZI HEY TO KHER, CHALO AISEY HEE SAHI  +  DARYA-ON KE DES MEn REH KER BHI MEIn RAHOOn GA TISHNA KAAM!
__________________________________________
JO MERA KOI NAHIn THA, JISKA MEIn KUCHH BHI NAHIn  +  UTH KE JAB JANEY LAGA TO DIL MERA DHARKA BOHUT!
__________________________________________
AB BAT YOOn HUI HEY KE KUCHH BAT HI NAHIn  +  MUDDAT HUI KE KHUD SE MULAQAT HI NAHIn!

KOI KHUSHI KA JABR, NA EHSAN RAnJ KA  +  GOYA KE DIL KI ZAT, KOI ZAT HI NAHIn

DIN KA MIZAJ LIKHTEY HUEY HARF KAnP UTHEY  +  TUM KO GAnWA KE MUJH SE KHAFA RAT HI NAHIn!
__________________________________________
DEKHA JO MUJHEY,DIL KO QARAR AAGAYA USKEY  +  SEHRA MEn BHI VEERANI-O-VEHSHAT  TO BOHUT THEE!!

AAnKHOn MEn TEREY HIJR KA MAUSAM UTAR AAYA  +  DEEDAR KI VERNA TEREY HASRAT TO BOHUT THEE.
____________________________________________
DHANAK MEn CHAAnD NAHAYA TO TERI YAD AA-EE  +  NASHA SHARAB KA CHHAYA TO TERI YAD AA-EE!

MEIn TUJH KO HAAR CHALA THA GA-EY ZAMANEY KO  +  KHUSHEE NE DIL JO DUKHHAYA TO TERI YAD AA-EE!
____________________________________________
YE ZINDAGEE HEY, YE IK ROZ BEET JA-E-GEE  +  GUZARIYE ISEY JEE BHAR KE, SOCHIYE KUCHH KUM!
____________________________________________
kya khoob silaa mujhko mohabbat kaa milaa thaa
jo saath na chal paayaa, sadaa saath rahaa thaa... 

-Farhat Shahzad

कोई टिप्पणी नहीं:

एक टिप्पणी भेजें